top of page

KUCH KHAYAL DIL KE

Hamne halothon  se kaha jhoot bol do thoda 

 

Aisa na ho sach sunkar arman bikhar jayein

 

khusi ki darkar nahi jeeevan bhar hamko

 

kuch aiso ho kuch pal hi dil bhell jaye 

 

hamne ansun se kaha khamoosh raho tum 

 

aisa na ho unka dil hamare dard se pighal jaye

 

milne ki koi aas to ab rahi  hi nahi 

 

bewajah ek aur fasana ban jaye

 

​

 

Barso tadpa hun unki chat mein main

 

Ek pal bhi merri rooh ko rahat hi nahin 

 

Unki yadein hi jindagi ka sabab hai mere 

 

warna is dil ko dhadkane ki chat hi nahin

 

​

 

Barson yeh gilah kismat se apni tha hamko

 

na jane wo kun itni roothi hai 

 

jin adaon ehsas pe sad ke jate the 

 

aaj jana wo adayen sabhi jhooti hai

 

Ek Jamana tha nazaren jajbat bayan karte the 

 

Aaj to bheti ankhon per bhi bahrosa hi nahin

 

Ye na samjho ankho dekhi hai to sach hi hoga 

 

Tumne dekha hai ya kisi ne tumhe dikahay to nahin

 

Is daur mein jaha sach bhi kalpanik hai ( vitual reality)

 

Kalpnao mein sach dhundte hai sabhi 

 

kiska bharosa karein ki kaun yaha sacha hai 

 

pata to tab chae jab sare mukhote wo utarein to kabhi

 

gam nahin ki wajah ham the ki ansoon unki ankho se bahe 

 

gam to yea hai ki un ankhon mein bhi sachai na thi

 

kun bhawna bas ab ek khilona matr reh gayi hai 

 

Is sach se dil ko thes lagi hai badi

 

​

 

​

 

aaj maa teri bhaut yaad a rahi mujhoko

teri palu mein sare dukh mein apne  bhul jata tha

tera saya jab talk sar pe tha mere 

kabhi khud ko na mein itna majboor na itna tanha pata tha

 

 

kun chod gayi mujhko is jamane mein yun akele

lejati apne sath to tera kya jata tha

wo bite din to bas ab ek yad se hi hain 

Jab bin baat bhi din bhar mein muskarat tha

 

​

 

kuon talim nahi di mujhe jajbat chupane ki 

jab mujhko ye hunar bachapan se hi na at tha 

lad gaye wo jamane jab sachaiye jiti thi 

jo dusaron ko jo deta tha wahi pata tha

​

mar gayi insamiyat sab jajbat mar gaye 

jo dil se socha karte the vayharik ho gaye 

kiske pas waqt hai jabaton ke liye

jo kal thak insan the sikari ho gaye

 

lagta tha khub kamaya tujshe door rehkar 

jindagi ki doaud mein junwari ho gaye

tu chod kar kya gayi humko yun akela 

kal thak to shensha the bhikhari ho gaye  

​

​

​

​

is jindagi ke teen ayam hain

ek shurwat hai safar hai aur anjam hai

dekho to kahin subaha hui hai abhi, kahin jindagi ki hansi sham hai

tu jo door hai to jaise koi khusi hi nahin, sang hai to jindagi ek hansi jam hai

kun intezar karun manzilon ka mein ,jab safar tere sang ek arman hai

milon ka fasal bhi abb najdikyan lage, tujhe yad karna hi bas mera kaam hai

koi pagal koi premi koi kuch bhi kahe , diwangi shayad isika naam hai

​

​

​

​

​

​

​

bottom of page